Saturday, November 14, 2009

KISHORE-RAFI

Arindam: - Hello Rafi aur Kishore Saab, we are waiting for both of you in this special show “Wine with Arindam”. We have kept two seats in this Graveyard…Now it is already 12 AM…In every seat, you have been provided with a Wine bottle…Please confirm, whether you are here or not?

Rafi: - Arindam, “tumney pukaara aur hum chaley aaye, jaan haateli par le aaye re…”

Arindam: - Welcome Rafi saab, to this show…aap toh already mar chukey hai…jaan haateli pe kaise rahega…we are waiting for Kishore Kumar to come in this show…

Kishore: - Arindam, “deewana le ke aaya hai…dil ka nazraanaa….”

Arindam: - Welcome Kishore saab, thanks for coming…

Rafi:- Thanks Arindam, for giving us this special wine…hum toh romantic ho gaye hai…”Choon le ne do na inh najook hoton ko…kuch aur nahi jaam hai yeh..”

Kishore: - dhaath, yeh bhi koi gaana hua…gaana toh yeh hai…”Nadiya se Dariya…Dariya se Sagar…Sagar se gaheraa jaam… o ho.”

Rafi: - aur issh jaam ke saath agar koi ladki ho toh woh gaana yaad aa jaata hai…”Chaudvinh ka chand ho, yaa shabaab ho…jo bhi ho tum khuda ki kasam …lajawaab ho…”

Arindam: - par Rafi saab, agar woh ladki aap ko Devdas bana de toh kya gaayegey aap…?

Rafi: - “Teri gaaliyon me aab na rakhengey kadam…aaj ke baad…tere gaaliyon me”…

Kishore: - arrey uskaa jawaab mere paas hai…”Yeh jo mohabbat hai…yeh unka hai kaam………………raheney do choro , jaaney do yaar…hum na karengey pyaar”…

Arindam: - baah baah bahut badiya…accha Kishore ji…aaj jitney bhi singer successful ho rahey hai…uska 80% singer toh aap ka voice nakal kar key hi successful hotaa hai…jaise Kumar Shanu, Abhijeet, etc. etc…aap ka gaaney ka bhi remix ho key jab market pe aata hai…toh aaj bhi woh superhit ho jaata hai…jaise ki haal hi mein aap ka gaana “Bachna Ae Haseeno” ka remix toh massive hit hua hai…

Kishore: - actually, mere voice ka ek branding ho gaya tha ussh zamaaney me…aur uska credit jaata hai…Shankar Jaikishen, S.D. Burman aur Pancham daa ko…kya tune detaa tha woh log…jisko kahtey hai melodious song…aajkaal toh pataa naahi, ajeeb tarah ke music baantey hai…

Arindam:- Rafi saab…aap ka gala nakal karkey jyadataar log successful nahi hua hai…haan sibhaaye Sonu Nigam ke…aap ka gaana thoraa romantic aur dil ko choo leney wala hai…uska remix accha nahi laagta hai…

Rafi: - Wohi toh mera brand hai…main logon ko nachaata nahi hoon, apney gaaney se...slowly and steadily mera gaana dil me ghoosh jaata hai…aur audience ko romantic banaa detaa hai…kabhi kabhaar toh mere gaaley ka gaana sunkey log cinema hall pe ronaa suru kar diyaa tha…aisa touching-effect hai mere gaaley mein…aur yeh kishore ka gaana toh…masti waala hotaa hai…yeh jaise ucchal kudhta hai…aisa hi uska gaana hai…ha ha ha …

Arindam:- accha, abhi toh hamara show ke time up ho gaya hai…par aap log yahaan aa key joh gaana gaaye hai…saach boloon Rafi aur Kishore saab…dil ko choon liya aap logon ne…

Rafi:- arrey Arindam, tum log humko dekh nahi saaktey hai toh kya hua…hum abhi bhooth ho gaye hai toh kya hua…abhi bhi hum dono ka gaaley se niklaa hua gaana logon ke dil me baastey hai jaise ke mandir ke andar bhagwaan ka idol rakha hua hai…

Arindam: - bilkul saach bola hai aapney Rafi saab…aap logon ko toh hum dekh nahi saaktey...par aap ka awaaz mere kaano mein goonjtaa rahega…accha aap log yahaan se jaaney se pehley ek last gaana sunaah dijiye…

Kishore: - “Chaltey Chaltey mere yeh geet yaad rakhnaa…kabhi alvida naa kahana…kabhi alvida naa kahanaaa...”

No comments:

Post a Comment